Gulabi Aankhen Lyrics in English – Mohammed Rafi

Gulabi Aankhen Lyrics in English from The Train. This Song Sung by Mohammed Rafi And Music by R D Burman. Lyrics written by Anand Bakshi.

SongGulabi Aankhen Lyrics
MovieThe Train
SingerMohammed Rafi
MusicR D Burman
LyricsAnand Bakshi
Gulabi Aankhen Lyrics in English
Gulabi Aankhen Lyrics in English

Gulabi Aankhen Lyrics in English – Mohammed Rafi

Gulabi aankhen jo teri dekhi,
Sharabi ye dil ho gaya,
Sambhalo mujhko o mere yaaron,
Sambhalna mushqil ho gaya…

Gulabi aankhen jo teri dekhi,
Sharabi ye dil ho gaya…

Dil mein mere khwaab tere,
Tasveer jaise ho deewar pe,
Tujhpe fidaa main kyun hua,
Aata hai gussa mujhe pyar pe…

Main lut gaya,
Maan ke dil ka kaha,
Main kahin ka na raha,
Kya kahu main dilruba…

Bura ye jaadu teri aankhon ka,
Ye mera qaatil ho gaya,
Gulabi aankhen jo teri dekhi,
Sharabi ye dil ho gaya…

Maine sada chaha yahi,
Daaman bacha lu haseeno se main,
Teri kasam khwabon mein bhi,
Bachta firaa naazneeno se main…

Tauba magar,
Mill gayi tujhse nazar,
Mill gaya dard-e-jigar,
Sun zara oh bekhabar…

Zara sa hans ke jo dekha tune,
Main tera bismil ho gaya…

Gulabi aankhen jo teri dekhi,
Sharabi ye dil ho gaya,
Sambhalo mujhko o mere yaaron,
Sambhalna mushqil ho gaya…

You May Also Like -:

Video !