Main Agar Kahoon Lyrics in English From Om Shanti Om. Sung By Sonu Nigam & Shreya Ghoshal And Music Composed By Vishal Shekhar And Lyrics By Javed Akhtar.
Song | Main Agar Kahoon |
Movie | Om Shanti Om |
Singer | Sonu Nigam & Shreya Ghoshal |
Music | Vishal Shekhar |
Lyrics | Javed Akhtar |

Main Agar Kahoon Lyrics in English
Tumko paya hai to jaise khoya hoon,
Kehna chaahun bhi to tumse kya kahun,
Tumko paya hai to jaise khoya hoon,
Kehna chaahun bhi to tumse kya kahoon,
Kisi zabaan mein bhi woh lafz hi nahin,
Ke jinmein tum ho kya tumhein bata sakoon…
Main agar kahoon tumsa haseen,
Qaynaat mein nahi hai kahin,
Tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin,
Tumko paya hai to jaise khoya hoon…
Shokhiyon mein doobi yeh adaayein,
Chehre se jhalki huyi hain,
Zulf ki ghani-ghani ghataayein,
Shaan se dhalki huyi hain,
Lehrata aabchal hai jaise baadal,
Baahon mein bhari hai jaise chandni,
Roop ki chandni…
Main agar kahoon yeh dilkashi,
Hai nahin kaheen, na hogi kabhi,
Tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin,
Tumko paya hai to jaise khoya hoon…
Tum huye meharbaan,
To hai yeh dastaan,
Aa.. tum huye meharbaan,
To hai yeh dastaan,
Ab tumhara mera ek hai karwan,
Tum jahaan main wahaan,
Main agar kahoon humsafar meri,
Apsara ho tum ya koi pari,
Tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin…
Tumko paya hai to jaise khoya hoon,
Kehna chaahun bhi to tumse kya kahoon,
Kisi zabaan mein bhi woh lafz hi nahin,
Ke jinmein tum ho kya tumhein bata sakoon…
Main agar kahoon tumsa haseen,
Qaynaat mein nahi hai kahin,
Tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin…
Main Agar Kahoon Lyrics in Hindi
तुमको पाया है तो जैसे खोया हूँ,
कहना चाहूँ भी तो तुमसे क्या कहूँ,
तुमको पाया है तो जैसे खोया हूँ,
कहना चाहूँ भी तो तुमसे क्या कहूँ,
किसी जबां में भी वो लफ्ज़ ही नहीं,
के जिन में तुम हो क्या तुम्हें बता सकूँ…
मैं अगर कहूँ तुम सा हसीं,
कायनात में नहीं है कहीं,
तारीफ़ ये भी तो सच है कुछ भी नहीं…
शोखियों में डूबी ये अदायें,
चेहरे से झलकी हुई हैं,
जुल्फ़ की घनी घनी घटायें,
शान से ढलकी हुई हैं,
लहराता आँचल है जैसे बादल,
बाहों में भरी है जैसे चाँदनी,
रूप की चाँदनी…
मैं अगर कहूँ,
ये दिलकशी है नहीं कहीं, ना होगी कभी,
तारीफ़ ये भी तो सच है कुछ भी नहीं…
तुम हुए मेहरबान, तो है ये दास्ताँ,
अब तुम्हारा मेरा एक है कारवाँ, तुम जहाँ में वहाँ,
मैं अगर कहूँ हमसफ़र मेरी,
अप्सरा हो तुम, या कोई परी,
तारीफ यह भी तो, सच है कुछ भी नहीं…
तुमको पाया है तो जैसे खोया हूँ,
कहना चाहूँ भी तो तुमसे क्या कहूँ,
किसी जबां में भी वो लफ्ज़ ही नहीं,
के जिन में तुम हो क्या तुम्हें बता सकूँ…
मैं अगर कहूँ तुम सा हसीं,
कायनात में नहीं है कहीं,
तारीफ़ ये भी तो सच है कुछ भी नहीं…
You May Also Like -: