Meri Maa Lyrics in English – Taare Zameen Par

Meri Maa Lyrics in English from Taare Zameen Par. This Song Sung by Shankar Mahadevan And Music by Shankar-Ehshan-Loy. Lyrics written by Parsoon Joshi.

SongMeri Maa Lyrics
MovieTaare Zameen Par
SingerShankar Mahadevan
MusicShankar-Ehshan-Loy
LyricsParsoon Joshi
Meri Maa Lyrics in English – Taare Zameen Par

Meri Maa Lyrics in English – Taare Zameen Par

Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main Maa
Yoon to main dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon main Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata… Meri maa

Bheed mein yoon na chhodo mujhe
Ghar laut ke bhi aa na paaun Maa

Bhej na itna door mujhko tu
Yaad bhi tujhko aa na paaun Maa
Kya itna bura hoon main Maa
Kya itna bura… meri Maa

Jab bhi kabhi Papa mujhe
Zor zor se jhoola jhulaate hain Maa
Meri nazar dhoondhe tujhe
Sochoon yahi tu aake thamegi Maa

Unse main yeh kehta nahin
Par main seham jata hoon Maa
Chehre pe aane deta nahin
Dil hi dil mein ghabrata hoon Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata… meri Maa

Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main Maa
Yoon to main dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon main Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata… meri Maa…

You May Also Like -:

Shankar Mahadevan Song Meri Maa Lyrics Video !