Tu Tu Hai Wahi Lyrics in English from Yeh Vaada Raha. This Song Sung by Asha Bhosle, Kishore Kumar And Music by Rahul Dev Burman. Lyrics written by Gulshan Kumar Mehta.
Song | Tu Tu Hai Wahi Lyrics |
Movie | Yeh Vaada Raha |
Singer | Kishore Kumar, Asha Bhosle |
Music | Rahul Dev Burman |
Lyrics | Gulshan Kumar Mehta (Gulshan Bawra) |

Tu Tu Hai Wahi Lyrics in English – Kishore Kumar
Tu tu hai wahi dil ne jise apna kaha,
Tu hai jahan main hoon wahan,
Ab to yeh jeena tere bin hai sazaa,
Ho mil jaayein is tarah do leharein jis tarah,
Ho mil jaayein is tarah do leharein jis tarah,
Phir hon na judaa haan yeh vaada raha…
Main aawaz hoon to tu hai geet mera ,
Main aawaz hoon to tu hai geet mera…
Jahan se nirala manmeet mera,
Mil jaayein is tarah do leharein jis tarah,
Ho mil jaayein is tarah do leharein jis tarah,
Phir hon na judaa haan yeh vaada raha,
Tu tu hai wahi dil ne jise apna kaha,
Tu hai jahan main hoon wahan,
Ab to yeh jeena tere bin hai sazaa,
Kisi mod pe bhi na yeh sath toote…
Mere hath se tera daaman na chhoote,
Kabhi khwaab mein bhi tu mujhse na roothe,
Mere pyar ki koyi khushiyaan na loote,
Mil jaayein is tarah do leharein jis tarah,
Ho mil jaayein is tarah do leharein jis tarah,
Phir hon na judaa haan yeh vaada raha…
Tu tu hai wahi dil ne jise apna kaha,
Tu hai jahan main hoon wahan,
Ab to yeh jeena tere bin hai sazaa,
Tujhe main jahan ki nazar se chura loon…
Kahin dil ke kone main tujhko chhupa loon,
Kabhi zindagi mein pade mushkilein to,
Mujhe tu sambhaale tujhe main sambhaloon,
Ho mil jaayein is tarah do leharein jis tarah,
Ho mil jaayein is tarah do leharein jis tarah,
Phir hon na judaa haan yeh vaada raha…
Tu tu hai wahi dil ne jise apna kaha,
Tu hai jahan main hoon wahan,
Ab to yeh jeena tere bin hai sazaa,
Phir hon na judaa haan yeh vaada raha,
Yeh vaada raha…
You May Also Like -:
- Papa Kehte Hain Lyrics
- Aapki Nazron Ne Samjha Lyrics
- Maan Meri Jaan Lyrics
- Tum Ho Nazmm Hamaari Lyrics
Kishore Kumar & Asha Bhosle Song Tu Tu Hai Wahi Lyrics Video !